Har mahine ka bijli bill dekh kar pareshan ho jatay hain? AC chalta hai lekin room thanda hone mein time lagta hai? Ho sakta hai problem AC mein na ho — problem aap ke darwazay mein ho.
Kya Aap Ka AC Ka Bill Isliye Zyada Aa Raha Hai?
Jab bhi darwazay ke neeche gap hota hai, room ki thandi hawa continuously bahar nikalti rehti hai aur bahar ki garam hawa ander aati rehti hai. Iska matlab AC ko zyada mehnat karni parti hai room ko thanda rakhne ke liye — aur zyada mehnat matlab zyada bijli.
Chota Gap, Bara Bill
- Ek half-inch ka gap bhi AC ki efficiency kaafi kam kar deta hai
- Room baar baar garam hota hai, AC baar baar on-off hota hai
- Compressor par extra load parta hai, jo bijli ka bill barhata hai
Sirf AC Nahi, Winter Mein Heater Bhi
Ye sirf garmi ka masla nahi. Sardiyon mein heater ki garmi bhi isi gap se bahar nikal jati hai, aur ghar thanda rehta hai jab tak heater chalta rahay.
Hal: Door Ke Neeche Seal Karna
Door dust stopper laga kar aap darwaze ke neeche wale gap ko poori tarah seal kar detay hain. Isse:
- AC ki thandi hawa room mein hi rehti hai
- Room jaldi thanda hota hai, AC kam chalta hai
- Bijli ka bill kam ho jata hai
- Winter mein heater bhi zyada asar dikhata hai
Kitna Bachat Ho Sakta Hai?
Har ghar alag hai, lekin gap seal karne se AC ki efficiency behtar hoti hai aur electricity bill par asar zaroor parta hai — khaas kar un kamron mein jahan AC din bhar chalta hai.
Installation Bilkul Aasan Hai
- Darwaza band karke bottom width measure karein
- Sahi size select karein (18 se 56 inch, ya custom)
- 5 second mein slide-in install — koi tools nahi chahiye
60,000+ Pakistani ghar already apna AC bill kam kar rahe hain is simple solution se. Apna door measure karein aur aaj hi order karein.